New Page 2

Sad Shairs

  1. Hasti ko dosti men fana kon karay ga, 
    Ye farz zamane men adda kon karay ga, 
    Haathun ki lakeerun ko zara dekh najumi, 
    Ye dekh meray sath wafa kon karay ga.

  2. Wo ishq jo ham krtay thy wo ishq to zinda aaj bi ha,
    kal tak jo hijr satata tha os hijr ka sayya aj bi hai,
    tum dorr huway majburi main hum toot gay iss dore main,
    kabi waqt millay to a jana khola dil ka darwaza aj bi hai.


  3. Hamara dard kisne dekha hai,
    hamain to bus khuda ne hi tarapte dekha hai,
    tanhai mai beth kar rote hain,
    ye or baat hai k mehfil mai sabne hamain hansta dekha hai.

  4. Khayalo ko kisi ahat ki aas rehti hai..
    nigaho ko teri talash rehti hai 
    tere bina koi kami nai laikin...
    tery bagair tbyet udas rehti hai...

  5. Khushiyon se naraz hai meri zindagi,
    pyar ki mohtaj hai meri zindagi,
    hans lata hoon logo ko dikhane keliye,
    varna dard ki kitab hai meri zindagi..?

  6. Khushi mili to kayi dard muj se ruth jaye,,.,,,
    Dua karo main phir se udas ho jaon

  7. Udasi k charay paraha mt kro,
    gzal anso o se lekha mt kro.
    Tumhay log kehnay lagay bavafa,
    zmanay se itni vafa mt kro....


  8. Usko chaha bhi to izhar na karna aya,
    kat gayi umar hume pyar na karna aya,
    us ne manga bhi to kuch judayi mangi,
    aur hum the k humay inkar na karna aya.

  9. Kya hai woh "YAAD"jo tanhai main aaye... 
    Yaad tou woh hai jo "MEHFIL"main aaye aur"TANHA" kar jaye....

  10. Na chaho itna hamain chahaton se dar lagta hai,
    Na aao itna kareeb ke judai se dar lagta hai,
    Tumhari wafaon pe bharosa hai.
    Magar apne nasib se dar lagta hai.

  11. Yun apni tabahi ka jashan mana lety hain...
    apni palkon pe siaro ko saja lety hain...
    tum to apny thy zara hath berh lya hota...
    gair b dubneay waly ko bacha lety hain......

  12. Choti si zindagi main arman bohut thay.
    Humdard koi na tha Insan bohut thay.
    Main apna dard kiss ko batata E-dost.
    Mere jaan nay wale anjan bohut thay.

  13. Wo mil jaty hain kahani bun kar .....
    dil main bus jaty hain nishani bun kar....
    jinhe hum rakhte hain apni ankho main....
    kiyon nikal jaty hain wo pani bunkar...

  14. Mittie meri qaber se koi chura reha hai mar ker bhi koi yad aa reha hai khuda aik pal ki zindgi dey de meri qaber se koi udas ja reha hai.

  15. Koi dikha k roye, 
    koi chupa k roye,h
    umain rulane wale humain rula k roye, 
    marne ka maza to tab hai,jb qatil janaze par a k roye...


  16. Sara jahan tha mere janaze ke pechy...
    ek wo na aya mere janaze ke peechy...
    wo ata b kse mere janaze ke pechy...
    mera janaza tha hud us ke janaze ke pechy...


  17. Tmse milne ki koshishain to lakh ki mainy,
    nai mil payenge mainy kabi socha he nai,
    hoke itne kareeb yar hum na mil paye,
    shayed hum mil sakain aisa mera naseeb he nai...

  18. Bht rona pada hame apko hasane k vasty..
    hum khud he jal gye ek chirag jalane k vaste...


  19. Tera naam leta raha tery marny k bad...
    tery hoty huay tery nam ka pta b na tha...

  20. Unho ne dekha or anso gir pade,
    bhari barsat main jaise phol bhikhar pade,
    dukh wo nai k unho ne hume Alvida kaha,
    dukh to ye hai k us k bad wo hud ro pary.....

  21. Ankhon sy barsaten aisi hoti han
    kabi kabi kuch raatehn aisi hoti han
    Kabi kabi hum jeetay jh mer jaatay han
    kabi kabi kuch baatein aisi hoti han.

  22. Ek din baharon k phol murja jayengay,
    jab bhole se kabi yad hum ayengay,
    ehsas hoga tab dosti ka hamari,
    dur buht jab tumse hum chale jayengay...

  23. Roz hum nashay main hotay hai aur shaaam guzar jati hy 
    ik din shaam nashay main ho gi aur hum guzar jaien gay


  24. Pyaar kisi se jo kro gae RUSVAI Milay gi,
    Wfa krlo chahe jitni,baevfai milae gi,
    chahay ksi ko apna bnalo,
    Ankh khulay gi to tanhai hi mile gi.

  25. Dil jeet le vo jigar hum b rakhtay hain
    Qatl kar de vo nazar hum b rakhtey hain
    Ap se vada hai hamara muskuraney ka
    Varna ankhon may samander hum b rakhtey hain

  26. Milna itfaak tha bicharna naseb tha,
    wo itna door hua jitna kareb tha,
    usko dekhne k lia tarsti reh gaye meri ankhen
    jis shakhs ki hatheli pe mera naseeb tha.

  27. En dino rotha hua sa lagta hon,
    main apny ap ko ab bewafa sa lagta ho,
    meri hansh main udasi k phol khilty hain,
    main sub k sath ho laikin juda sa lagta ho...


  28. Dil wohi rehty hein jazbat bdal jaty hein.
    Sochne walo k andaz bdal jaty hein. 
    Wo jo dety thy hr bat pe hawala mera. 
    Ab mere zikar pe wo bat bdal jaty hein.

  29. Tanha rehna to sekh lya humny,
    par khush na kbi reh payengay,
    teri dori to pir seh leta hai ye dil,
    par teri dosti k bin na jee payengay

  30. Lipty hui kafan main soye hai thandi zameen per
    to tanha hai naye gar main na pas tery koi
    ae maa main soch soch tarpa main soch soch roya
    aya khiyal muj ko jab sard kali raton ka

  31. Mehuk unki aj b meri sanson main hai,
    Har ek ada unki meri in ankho main hai,
    woh bhale mita de dil se mera wajod,
    magar unki jaga aj b meri in yadon main hai

  32. Dosti ke bhi kuch andaz hote hain jagti ankhon main bhi khawab hote hai zarori nahin ke gham main hi aasu nikle muskrati ankhon main bhi silab hote hain 

  33. Unhe nafrat thi humse to izhaar kyon kiya, 
    dena tha zehar to pyar kyun kiya, 
    dekar zehar kehte hain pena hoga, 
    aur jab pe gaye zeher to keh dia ab jena hoga.

  34. Na jaany os pe itna yaqeen q hai.
    os ka khayal itna haseen q hai.
    suna hai k mohabbat ka dard meetha hota hai.
    to phir aankhon se nikla aanso namkeen q hai.

  35. Hakikat na pooch mere fasane ki
    tere jate hi badal gai nazar zamane ki
    log poochte hain main khush kiyon nain
    kiya kahun meri to adat thi tere sang muskrane ki.

  36. Un ke bewafia par wafa hum karen ge..,
    yaad ko unki dil se juda hum karen ge.,
    itna chah phir bhi yakeen nahin., 
    a$ie zindagi jee kar hum kya karenge...

  37. Mujhe kisi ne bewafa ka nam diya
    sathi ne jaise zeher ka jam diya
    jo kabhi kaha karte thay hamain bhula mat dena
    un hon ne hi bhol jane ka paygham diya.

  38. Jab sina gam se bojhal ho or yad kisi ki aati ho.
    Tab kamray main band ho jana or chupkay chupkay ro lena.
    Jab palkain karb se mondi ho or sab samjhain tum sotay ho.
    Tab mun pe takia rakh lena or chupkay chupkay ro lena.
    Yeh dunia zalim dunia hay yeh bat buhat phelaiy gi.
    Tum samnay sab k chup rehna or chupkay chupkay ro lena.
    Jab barish chehra dho dalay or ashk bhi bondain lagtay ho.
    Woh lamha hargiz mat khona or chupkay chupkay ro lena..

  39. Jisne humko chaha use hum chah na sake
    Jisko chaha use pa na sake
    Yeh samaj lo dil tutne ka khel hai 
    Kisi ka toda aur apna bacha na sake.

  40. Har bar muje
    Zakhme-e-judai na dia kr
    Agr tu mera nhi
    to muj ko dikhai na dia kr 
    Sach jhot teri Ankh se Ho jata ha zahir
    Kasmain na
    utha
    itni safai na dia kr
    Malom He rhta hai tu ab muj se Gurezan
    Pas a k mohbt ki Duhai na dia kr
    Ur jayen to phir Lot k atey nahi vapis
    Har bar prindon ko rehai na dia kr..

  41. Mere pyar ko koi samjh nahi paya
    rotay thay jab tanha koi pass na aya
    mita diya khud ko us ki chahat mein
    or log kehte hein k hamen pyar karna hi na aya.....

  42. Wafa main agar sila hota ...
    phir na zindgi se humein koi gila hota...
    phir na krte chand ki justoju 
    bus woh ek shakhas humein mila hota.

  43. La kr tanha chor diya kaisy maqam par
    Aap ny bi dhoka diya majbori k nam par
    Ghamon sy tha phly b bohat purana mera hisab
    Dil ka dard thora aur barha tere kayam par
    Fursat milay jo tujhy in chandani raton say kabhi
    Ek nazar idhar bi dal lena kisi ki dobti sham par

  44. Badalon k darmyan kuch aysi sazish
    hoi
    mera mitti ka ghar tha
    wahien barish hoi
    falak ko adat thi jahan bijlian girane ki
    hmko b zid thi wahin ashiana banane ki

  45. hum cheen leinge tum se ye adaa-e-benayazi,
    tum mangte phiroge apna ghroor humse,
    yun rehte safer mein kr dein ge tumko tanha,
    tum puchte phiro ge apna qsoor humse

  46. 1 payar k mujrim se..
    Ulfat b karain to kaise karain ?
    Tumhe tot k chaha tha...
    Nafrat b karain to kaise karain?
    Jo par humein karta us ne hi dobaya hai,
    Kya payar mein socha tha kya payar mein paya hai..

  47. unhain tu fursat nahi hum se milnay ki or hamara waqt guzerta hai un ki faryad ker k.ager aye wo meri mout pe tu keh daina abhi soye hain tumhain yad ker k

  48. Meri bisat he kia thi magar tumhary liye....
    Kuch us say ziada kia jitna ikhtiyar may tha...

  49. Kahan koi aisa mila jispar duniya luta dety,
    har ek ne dhoka diya kis kisko bhula dety,
    apne dil ka dard dil main he daba kar rakha hai,
    agar karty bayan to mehfil ko rula dety....

  50. Dil ka ameer mukadar ka gareeb tha...
    Mil kar bichudna mera naseeb tha...
    Chah kar b kuj na kar sake hum...
    Gar b jalta raha or samandar b kareeb ta..

  51. Pas a k sabi dur chale jaty hain,
    hum akele hai akele he reh jaty hain,
    dil ka dard kise dikhaye,jb 
    marham lagane wale he dard day jaty hain....

  52. Pee hai sharab har gali har mehkhane se,
    Ek dosti si ho gai hai sharab ke jam se,
    Gujre hai hum kuch aise mukam se ki
    Nafarat si ho gai mohabbat ke nam se

  53. Ap Kia Jano Kiya Hoti Ha Tanhae
    Tutey Howe PatoOn se PochO Kiya Hoti Hai JUDAI
    Yun Bewafae ka ilZam na Do Muje
    Is Waqt Se PochO Muje Kis Pal Apki Yad ni

  54. Aye to yon k jaisy samandar say thay mehrban...
    Bholey to yon k goya kbi aashna na thay...

  55. Mehfil main kuj to sunana padta hai,
    gam chupa k muskurana padta ha,
    kbi ap k hum b thy dost,
    aj kal apko yad dilana padta ha.

  56. Tum dil sy hamain yon pukara na karo,
    yon tm humain ishara na karo,
    dor hain tmsay ye majbori hai hamari,
    tm tanhayon main yon tadpaya na karo

  57. ajeb silsila the zindagi ki raton ka
    kabi to neend galat t kabi khwab galat
    mere gunah se badkar saza mili mujko
    likha gaya ta yakenan mera hisaab galat..

  58. Dard jana jata ha bola ni jata
    Man ki uljhano ko yun khola ni jata
    Bahut kuj aisa b hota hai zindagi mn
    Lakh chahte hai magar bola ni jata

  59. Toot na jye Tuj per Mere Pyaar ki Shiddat
    Tu Samandar ki Trah Khamosh na ra ker
    Khamoshi b suna deti hai Haal Dil ka
    Honto se na sahi,Aankhon se kuj kaha kar

  60. Dar ha kahi tu mjse juda na hojaye
    mri ksi bat pe tu mjse khafa na hojaye
    jis k liye ha mri har wafa har Dua
    khyal rakna ae Khuda vo hi mjse bewafa na ho jye

  61. Bagair jane pehchane ikrar na kijiye,
    muskura kar dilo ko bekar na kijiye,
    phol b de jate ha zakham gahere kabi kabi,
    har phul par yu aitbar na kijiye

  62. Roti hui aakhon mn b intezar hota ha
    Na chahte hue b kyo pyar hota ha
    q dekhte ha hum wo sapne
    Jinke tutne per b unke Sach hone ka intezar hota ha

  63. Iss dil ko toh bas teri yaad aati hai
    aur iss dil ko udaas kar jati hai
    Koi poochta hai tumse pyar kitna hai
    kuch nahin keh paate bas aankh bhar aati hai

  64. Dharti ka gum chupane k liye gagan hota hai,
    Dil ka gum chupane k liye badan hota hai,
    Mar k bhi chupane hoge gum shaayad,
    Isliye har laash pe kafan hota hai

  65. Ranjish he sahi dil dukhany k liye aa...
    Aa pir say mujhe chor jany k lye aa...

  66. ye mohabbat ye aas rahne do
    mujhko youn hi udas rahne do
    sare darya tumhe mubarak ho
    mere honto pe pyas rahne do

  67. Kash wo nagme hame sunaye na hotay,
    aj unko sun kar ansu aye na hotay,
    agar isi tarha bhol he jana tha,
    to itni gehraye say dil main samaye na hotay,

  68. Meri chahat nay usay khushi day d,
    badlay main usnay mujhe sirf khamoshi de d 
    khuda se dua mangi marne ki,
    laikin usnay b tarapne k lye zindagi day d...

  69. Jan kar b tum mujhe jan na paye,
    aj tk tm mujhay pehchan na paye,
    khud ki hai bewafaye hum ne,
    ta k tujh pay koi ilzam na aye,

  70. DIL ME TUMHARE APNI KAMI CHOD JAYENGE
    AANKHO ME INTEZAR KI LAKIR CHOD JAYENGE
    YAD RAKNA MUJE DHUNDTE PHIROGE
    EK DIN ZINDAGI ME AISE DOST KI KAMI CHOD JAYENGE

  71. Kuch is taranh teRy palkei mery palko se mila de.
    Ansoo tere saare mery palko pe saja de. 
    Too hary ghary har waqt mery sath raha hai,
    haan ye jism kabhi door kabhi pas raha hai,
    jo bhi gham hein ye tere uneh too mera pata dai.kuch is taranh....... 
    Mujh ko to tere chehre per ye ghum nahi jachta
    ,jaayez nahi lagta mujehy ghum se tera risHta ,
    sun mery ye guzarish ise chehre se haata dai .
    SuN mery ye guzarish ise chehre se hata dai....
    Kuch is taranh tery palkain meri palko say hata day

  72. Mat poch mery sabar ki inteha kaha tk hai?
    Tu sitam kar lay,teri takat jaha tk hai,
    wafa ki umeed jinhe hogi unhe hogi,
    humain to dekhna hai tu bewafa kaha tk hai,

  73. Hasi hasi main kitno ko hasa dya,
    hasi hasi main kitne gamo ko chupa liya,
    hasa kar gya koi mujhe is kadar,
    umar bhar k lye wo mujhe hasna he bhula gya...

  74. Haste haste ansu gir jaty hai jb ap k sath bitaye pal yad atay hain,
    kia hua jo aj ap hamary sath nai,hum aj b apni dosti k tarane sabi ko sunaty hai,...

  75. jebhar ke roye toh karar paya
    is daur mn kisne sacha pyar paya
    zindagi gujar rahe ha imtihano ke daur se
    ek zakhm bhara nahi...ki doosra taeyar paya..

  76. Dard har dil ki zarorat to nahi,
    Aansoo ankhon ki chahat to nahi,
    Hume yaad tum is kadar ana nahi,
    Milne ke liye bichad jana nahi.

  77. Mujhe pyar karne ka maza malood hai,
    mujhe pyar karny ki saza maloom hai,
    umar bhar muskurane ki dua mat dena...
    Mujhe pal bhar muskurany ki saza maloom hai..

  78. Qatal hua mere dil ka,
    Aankhon mein sara jahan aa gaya.... 
    Gum is baat ka nahi k qatal hua mere dil ka,
    Gum is baat ka ki qatilon me unka naam aa gaya

  79. Ishq dariya ha jiska ahil ni hota,
    Har dil mohabat k kabil ni hota.
    Rota wo b ha jo duba ha ishq-e-dariya me,
    Aur rota wo b ha jise ishq hasil nahin hota

  80. door tak sehra samandar ki trah lgne lga,
    Dobna b ab mukadar ki trah lgene lga. 
    Bas ek aina totne ki der t, 
    Mn b bahar se andar ki trah lagnay lga

  81. Nakaam si koshish karte hai, 
    Humunse ulfat kiya karte hai.
    Taqdir me ek tuta tara nahi likha, 
    Aur ek hum hai, 
    Ki Chaand ki aarzoo kiya karte hai

  82. karo gy yaad ek din tum mohabat k fasaney ko.
    chaley jaen gy jis din hum kabhi wapas na aney ko.
    kisi mehfil main chairay ga humara zikar jab koi.
    chaley jao gy tanhai main tum ansoo bahaney ko.
    ghatayen parbaton py jhuk k jab ulfat nibhaen gi.
    taras jao gy sawan main humaray pass aney ko

  83. Us ko chaha mager wo mila hi nahi.
    Laakh koshish ki mager fasla mita hi nahi.
    Us ko zamanay nay majboor is kadar kr dia.
    K meri kisi sada pr wo thehra hi nahi.
    Hr 1 say pucha sabab us k na milnay ka.
    Hr 1 na bataya wo teray liay bana hi nahi.
    Ma tamam tr koshish k bad har gia
    Wo usay mil gaya jis nay usay manga hi nahi.
    Itni shiddat say chaha.
    Mager wo kisi ka ho gaya.
    Shaid is jahan ma wafa ka koi sila hi nahi..

  84. Ranj e forqat usay hoya he nahi
    Asa bichra ha k phir mila he nahi
    Meri barbadeyon ka pochte ho
    Jase tum ko kuch pata he nahi
    Bat kerta to hum mana lete
    Kuch kaha he nahi suna he nahi
    Is tarha hum pe zulm dhate ho
    Jase apna koyi khuda he nahi
    zaadityan ab yun hi seh lan gay hm
    apna to koi yahan rha hi nahi

  85. Tu mera hy tera nam koi or na ly.
    In behakti hoi aankhoo ka jam koi or na ly.
    Kuch es leay b main ny tera hath na chhora.
    Tu gir gia to tujhy tham koi or na ly.

  86. Lahroon main dobty rahy derya nahi mila
    us se bichar k koi wasa nahi mila

  87. kuch log thori dare ko achy lagy mager
    hm jis k ho saken koi wasa nahi mila

  88. Dekh sakta hai bhala kon ye pyary ansoo...
    Meri ankhon main na jayen tmhary anso....
    Hijar abi dur hai main pas ho ae jan-e-wafa
    q huay jaty huay chain tmhary anso...
    Meri ankhon main na jayen tmhary anso...
    Sath ikrar muhabat ho zuban sy q kar...
    ankho main a gaye yo sharam k anso...
    meri ankho main na jayen tmhary anso...
    dekh sakta hai bhala kon ye tmhary anso...
    dekh sakta hai bhala kon ye pyary anso...
    Meri ankho main na jayen tmhary anso...

  89. **~~~~UDAAS~~ ~~*~~~~*~~~ 
    Mere QAREEB to aao buhat UDaa$ hon mai.. 
    bus aj toot k CHAHO buhat UDaa$ hon main 
    kisi b jhoote dilaase se DIL ko behlao, 
    koi kahani sunao buhat UDaa$ hon main,,
    andheri RaaT hai kuch b nazer nahi aata, 
    satare tor k lao buhat UDaa$ hon mai, 
    suna hai prem nagar main KHUSHI b milti hai,
    Muje yaqeen dilaao buhat UDaa$ hon mai, 
    ye sham yunhi guzer jaye gi DaBE Paon,
    wafa ka geet gao buhat UDaa$ hon main..


  90. Sun sako to ek kahani hon main...
    Rakh sako to 1 nishani hon main...
    Rok na payi jise saari duniya...
    Woh Ek BAND AANKH ka PaNI hon main...!


  91. Aaj bhi uski ankho me raz wahi tha, 
    chehra wahi tha chehre ka libas wahi tha. 
    kaise usko bewafa keh du yaron.
    aaj bhi uske dekhne ka andaz wahi tha.

  92. Ghany darakht k nichey sula k chor gya,
    Ajeeb shaks tha sapne dikha k chor gya,
    Ye ujra hua ghar usi ik ki nishani hai,
    Jo apne naam ki takhti laga k chor gya..

  93. Usi ne zindagi se benam kar dia.
    Jis ne zindagi ka nam dia tha.
    Kahte hain kisi pe to aitbar kar lo. 
    Per merey aitbar ne hi mujhe be-aitbar kar dia yah btana kaisa hai

  94. Raat k sannate main ham ne kya kya dhoke khaye hain 
    Apna hi jab dil dharka tu hum samjhe woh aye hain
    Jis din se tum bicher gaye ye hal ha apni ankhon ka
    Jaise do badil sawan k apis main takraye hain 
    Ab to rah na bhulo ge tum, ab to hum se aan milo 
    dekho hm ne palak palak pr so so dip jalaye hain 

  95. Haye qatil is tanhai main kya sojhi ha mousam ko Jis din se wo pas nahe us din se badal chaye hain!

  96. Log laut jate hein ghum hamara daikh kar....
    Jaise laihar laut jati hai kinara daikh kar....
    Usay keh daina kandha na dey woh janazay ko mere.... 
    Ho na jaon zinda, phir uska sahara daikh kar....

  97. Gul pershan kis liye hai aj,
    chandni b lage hai madham si,
    chand hairaan kis liye hai aj,
    kyun nigahain badal gayeen sab ki...
    Adlante

  98. Na tujay chor saktay hain taray ho b nahi sakty 
    ye kaisi baybasi hai aj hum row b nahin saktay 
    chupa saktay hain or na hum dakha saktay
    hain logon ko kuch aisay dagh hain dil pay jo hum dhoh b nahi saktay 
    hamara aik hona b nahi mumkin rah ab to jeeain kaisay k tum say door ab ho b nahi sakty

  99. BARISHON k mosam mai barishain tu hoti hain
    MAAN mai bhig jany ki khwahishain tu hoti hain
    WASAL k ujaloon ki orhni mai chup k bi
    HIJAR k andheron sy wehshatein tu hoti hain..

  100. Yon na mil muj sy khafa ho jaisy,
    sath chal mooj-e-saba ho jaisy,
    log yon daikh kar hans dety hain,
    tu mujay bhol gya ho jaisy...

  101. Ek Shaks Muj Ko Zakham e Shanasai De Gia..
    Jub De Saka Na Pyar To Ruswai De Gia..
    Jatay Huay Apni Nishani k Tor Per..
    Kitne Khaloos Se Muj Ko Tanhai De Gia

  102. Jis sham brasty hein teri yaad k badal
    Us shab ko koi hijar main tara nahi hota
    yun hi meray pehlo mein chala ata hy aksar
    wo dard jisy hum ne pukara nhi hota.


  103. Main udaas rusta hoon sham ka
    Mujhe aahaton ki talaash hai
    Yeh sitare hain sab bujhe bujhe
    Mujhe jugnuon ki talaash hai
    Her khushy hai mujh say khafa khafa
    Mujhay zindagi ki talaash hai
    Meri piyas main wo talab nahe
    Mujhay tishnagy ki talaash hai
    Ik hajoom sa hai rawaan dawaan
    Mujha doston ki talash hai
    Meri zindagi hai bus ik rasta,
    Mujha manzilon ki talash hai
    Najanay kia hai jo kho gaya,
    Mujh shaid apni he talash hai....

  104. ISHIQ Waly Aankhon Ki Baat Samjh Lety Ha'
    Sapno may Mil jay To Mulakat Samjh Lety Ha'
    Rota To Aasman B Ha Payar K Liay,
    Pr Log Usay Barsat Samajh Lety Ha...


  105. Najane kon si rat akhri hogi 
    na jane kon si mulakat akhri ho gi
    aaj wapat hai karlo jee bhar ke batein 
    khuda jana kon si saans akhri ho gi




  106. A Girl & A Boy Loved so Much to each other.
    Unfortunately Girl Died.
    After Some Time Her Voice came from Sky:
    "Ek Wada Tha Hr Wade K Peechay, 
    Tu Milay Ga Har Gali Har Drwazye K Peechay,
    Tujh se Pyar Boht Kia Tha, 
    Pr Ek Tu Hi Na Tha Mere Janazay K Peechay
    ."Sudenly a Voice Came.Girl was Shockd.
    Ths voice was Hr Boyfreind's: 
    "Ek Wada Tha Har Wade K Peechay, 
    Men Milon Ga Tujhe Har Gali Har Drwazay K Peechay, 
    Tu Ne Hi Murh Kar Na Dekha Tha, 
    Ek Aur Janaza Tha Tere Janazay K Peechay!"

  107. Do kadam to sab chal lete hain per zindagi bhar ka saath koe nahi nibhata 
    Aghar roo kar bhulay jaati yaadein to haans kar koe ghum na chupata

  108. Jsne andaz dia muje muskrany ka,
    usey hi shok hai ab mujeshab-o-roz rulane ka,
    jo lahron se cheen kr muje laya tha kinare
    ,ab vohi muntazir hai mere d|ob jany ka.

  109. Sab DOST BeWaFa Ho Gae
    HuM ApNi Mohabbat se KhAfA Ho Gae
    Ek sms to karo aay DOST
    Warna DuNya SamJhe Gi
    HuM Dono JuDa ho Gae........!!!


  110. Bin tyry ya zindagi dard hai tanhai hai...,,
    Meri aankhon mein kiyun mout simat ayi hai...,,
    Kehtay hain log ishq ko ibadat yaro...,,
    Ebadat mein phir kun itni ruswai hai...,,
    Mehfil mein reh kar bhi tanha rehna...,,
    Yeh ada tyri mohabbat nay sikhai hai...,,
    tujh se taluq hi kuch aisa hai dil ka...,,
    Jab bhi socha tujhy aankh bhar ayi hai...

  111. Sham honay se pehle lot ana,
    Kisi k nam honay say pehlay lot ana,
    Hum tere intezar mai hain,
    Anjan honay say pehlay lot ana,
    Subah sham rehti hai teray dedar ki umeed,
    Din khatam hone se pehlay lout ana.
    Agar na lout pao to bus itna kar dena,
    Meri akhri saans khatam hone se pehlay lout ana.........

  112. Kuch khud b thay afsurda se,
    kuch tum b hum se rooth gae, 
    kuch khud hi zakhm k aadi thay,
    kuch sheeshay hath se chhoot gae,
    kuch khud b thay hassaas boht, 
    kuch apne muqadr rooth gae, 
    kuch usko sach se nafrat thi,
    kuch hum se na bolay jhut gae,
    kuch talkh haqaiq the itne, 
    k khwab hi sare toot gAe.

  113. Koi tm say poochy kon hoon mein, 
    tm keh dena keh khas nhi, 
    ek dost hy kacha pka sa, 
    ek jhoot hy aadha sacha sa,
    jzbaat ko dhanpy ik prda, 
    bs ik bahanna acha sa, 
    jevan ka aisa sathi hy,
    jo dur na ho kr pas nahi, 
    koi tum say poochy kon hoon mein,
    tum keh dena kuch khas nahi!!!

  114. Ham to doshman ko bi aisi saza daty hain .
    Hath othaty naiy nazr se ghira dety hain,

  115. Raahe zindgani me gabra na jana 
    takmiley insaniat he chot pey chot khana
    jub bhi koi nai chot khana faqt muskurana
    magar is ada se k ro pare zamana.

  116. Chaha tu bht tha lakin wo mila hi nhi, 
    laakh koshish ki magar fasla mita hi nhi,
    zamane ne kar dia usko majboor is qadar,
    k meri kisi sada pe woh ruka hi nhi, 
    khuda se jholi phela kar manga tha usay,
    per khuda ne meri kisi dua ko suna hi nhi, 
    har ek se poocha sabab tere na milne ka, 
    har ek ne yehi kaha woh tere liye bana hi nhi,
    tamam tar koshish k bawajood main haar gya tujhe, 
    or tu usko mil gya jisne tjhe manga hi nhi.

  117. Zindagi hy nadan is lie chup hun. 
    Dard hi dard hay subho sham is lie chup hun. 
    Kehdo zamane se dastan apni. 
    Usme aeiga kisi ka naam is lie chup hun...

  118. Usay apnay farar k fikar thi
    woh jo mera waqef-e-hal tha,
    Woh jo us ki subah e urooj thi
    wohi mera waqt-e-zawal tha,
    Mera dard kaisay janta meri baat kaisay manta?
    Woh tu khud fana k safr mein tha,ussay rokna bhi mahal tha,
    Kahan jao gay mujay chor kar?
    Mein poch poch kar thak gaya,
    woh jawab mujh ko day na Saka,
    woh khud sarapa sawal tha,
    Woh mila tu sadion k bad bhi mery lab pay koi gila na tha,
    Usay meri chup nay rula diya jisay guftagu me kmal tha

  119. Us ki ankho main mohabt sitara hoga
    Ek din ayega wo shakhs humara hoga
    Jis k hone se meri sans chala kerti hain
    kis tarha us k bin apna guzara hoga


  120. Kismat per Aitbar kis ko Hay,
    Kowahishon say Inkar kis ko Hay,
    Zendagi Main tum He To Ho,
    Warna Zendgi Say Pyar kis ko Hay.


  121. Zindagi se barh ker koi saza he nahi. 
    Jurm kya kia hai kuch pata he nahi.
    Itne hisso mein batta dya aap ne ,
    k hamare hissey mein kuch bacha he nahi. 

  122. Khuda kare teri ankhen hamesha hasti rahen,
    Wo ankhen jin ko kabhi dukh ka hosla na huwa,
    Me sochta hon k mujh me kami thi kis shay ki,
    K sab ka ho k raha wo bas ik mera na huwa..

  123. Na jane ye nazar kiu udas rehti hay,
    Najane issay kis ki talash rehti hay,
    Ye jaan kar bhi k wo mery pass nahi hay,
    Phir bhi ussay dekhne ki aas rehti hay.

  124. Ek aadat sE ho gayE hai chot khannE kE
    bhEEgE huE palko k sang muskuranE kE
    kashanjam_E_wafa hum pEhlE sE hE jantE to koshish bhE nahE kartE dil laganE kE

  125. Jo ksi nzar sy ata hui,
    Wohi rosni hy khyal mai,
    Na woh aa saky na woh muntazr,
    Ye khlish kahan thi wsal mai,
    Meri justajo ko khbar nhi,
    Na wo din rahy na wo rat hy,
    Jo chla gya mujhy cor kr,
    Wohi aj tk mery ha,
    Kary pyar lab py gila na ho,
    Yeh ksi ksi ka naseb hy,
    Ye karm hy us ka jafa nahe,
    Wo juda be reh kr kareb hy,
    Wohi ankh mery robro,
    Usi hat mai mera hat hy,
    Bs yon hua k us ny tkaluf sy bat ki,
    Aur hm ny roty roty rumal bhego diyy,

  126. Har ishq ka matlab ghum nahe hota
    duriyon se piyar kabi kam nahi hota
    waqt bewaqt ho jati hain ankhain num
    kyu k yadon ka koi mausam nahi hota.

  127. Roony say GUM-e-DIL Ka guzara nhi hota. 
    Hr shakhes dil ka SHARA NHi hota. 
    Us roz lagta ha k bikhar gy hum.
    gis roz kbi zikr tumhara nhi hota.........! 

  128. Ajab sham khari hai kahin se ajao,
    Bari udas ghari hai kahin se ajao,
    Kisi se milna aur mil k bichar jana,
    Saza ye itni bari hai kahin se ajao,
    Bara kathin hai ye hijr ka mausam,
    Juldi bol pari hai kahin se ajao,
    Zamana jise samjhta ha moteon ki chamak,
    Wo ansuon ki larri ha kahin sa ajao.


  129. Wo keh kr chala itni mulaqat boht hai
    Mein ne kaha ruk jao abhi rat boht hai
    Ansoo mere tham jain to phir shoq se jana
    Aise mein kaha jao gey barsat boht hai

  130. Is qadar na har baat yaron se pocho, 
    Jo baat raaz ki ho isharon se pocho, 
    Lehron se khelna to samandar ka shoq hai, 
    Lagti hai chot kaise kinaron se pocho.

  131. 1 bar mombati k andar ka dhaga bola:
    mai jalta ho to tu q pigalti hai? 
    Mombati boli: jis ko dil mei jaga de ho wo jab bicharta hai to ansu aa hee jatay hai

  132. Kasoor na unka tha na mera,

    hum dono hi RISHTAY ki rasme nibhatay rahy,

    woh DOSTI ka ehsas jatatay rahay,,

    hum MOHABBAT ko dil mai CHUPATAY rahay.

  133. Khushiyon se naraz hey meri zindgi ;
    pyar ki mohtaj hey meri zindgi;
    hans lete hain logoon ko dikhane ke liye;
    warna dard ki kitaab hey meri zindgi...
    Us ko chaha mager wo mila hi nahi.
    Laakh koshish ki mager fasla mita hi nahi.
    Us ko zamanay nay majboor is kadar kr dia.
    K meri kisi sada pr wo thehra hi nahi.
    Hr 1 say pucha sabab us k na milnay ka.
    Hr 1 na bataya wo teray liay bana hi nahi.
    Ma tamam tr koshish k bad har gia
    Wo usay mil gaya jis nay usay manga hi nahi.
    Itni shiddat say chaha.
    Mager wo kisi ka ho gaya.
    Shaid is jahan ma wafa ka koi sila hi nahi..

  134. ek pal ka ehsas ban ker ate ho tum,
    dusre hi pal khwab ban k ur jate ho tum,
    jante ho k lagta hai dar tanhayon se,
    phir bhi bar bar tanha chor k jate ho tum...:)

  135. Kabhi Tum apni Mohabat ka aitbar to do
    Main chahon toot k Tum ko ye ikhtyar to do
    Guzerti hi nahi mujh se Zindagi tanha
    Ab to muja zinda rehna ki wajah to do...

  136. Kabhi khamoshi bhi bahot kuch keh jati hy,
    tarpne ke liye yade reh jati hy,
    kya fark parta hy dil ho ya koyla,jalne k bad to sirf rakh reh jati hy.

  137. Mere qarib to aao bohot udas hon main
    Bas aaj tot ke chaho bohot udas hoon main, 
    Kisi bi jhotey dalase se dil ko behlao 
    Koi kahani sunao bohot udas hon main, 
    Andheri raat hai kuch bi nazr nahin aata
    Sitare tore ke lao bohot udas hon main, 
    Suna hai preme nagar main khushi bi milti hai 
    Mujhe yaqeen dilao bohot udas hon main . . . 

  138. Raat k sunatey main hum ne kia kia dhokey khaye hain
    Apna he jub Dil dharka to hum samjhey wo Aay hain ,
    Band jharokey , soni Galyaan , ya phir Gum k saye hain 
    Chaand sitare nikley lekin mere liy kia laye hain ,
    jis din se tum bichar gaye ye hall hai apni Aankho ka
    jasy 2 Badal sawan k Aapas main takraye hain,
    Ab to raha na hum se bholo gay tum , Ab to hum se Aa milo
    Dekho hum ne palk palk par so so Deep jalaye hain,
    Hai kateel is tanhai mn kia sojay hai mosam ko
    jis din se wo pass nahi , os din se badal chahye hain.......! 

  139. Us ko mera hulka sa ehsas to ha
    bedard sahi wo mera hamraz to ha
    wo aye na aye mery pas lakin
    sidat sa muja us ka intzar to ha
    abi nahi to kya huwa mil hi janye ga kabi
    mery dil ma us sa milnay ki ass to ha
    pyar ki gawahi mery anso sa na mang
    barsti nahi ankay magar dil udas to ha 

  140. asmAn k tara aksar puchta ha mujse.
    Kia tumhe ab B yaqeen ha us k Lot anay ka!
    Or ye dil muskra k kahta ha.
    Muje to ab b yaqeen nahi us k dor jAnay ka.Naraz hy?

  141. Me ne usko salam likh beja,
    hal-e-dil tamam likh beja
    Me ne pucha tery hont kasy han? us ne ek lafz "jaam" likh bejha
    Me ne pucha tere baal kasy han? us ne "qudrat ka inam" likh bejha.
    Me ne pucha kab mulaqat ho gi? us ne "qayamat ki sham" likh beja.
    Me ne pucha itna tarpaty kyun ho? us ne 
    "jawani ka intqam" likh beja
    Me ne pucha tujy nafrat kis se ha?
    us ne mera hi "naam" likh beja.

  142. Soch samaj lena kadam uthane se pely-kahen kho na jaho manzal aane se pely-mukhlas dost se mehroom ho na jaho kahen-ye soch lena usy azmane se 
    pely-tumary seeny mein b dadkta ha ek dil-ye soch lena kisi ka dil dukhane se pely-umar bar kon kis k leye rota ha ...Log sirf ansoon bahaty hein dafnany se pely

  143. Guzray waqat ko Bhula Dena bi asan nahe hota,
    Ghamoon ko hansi main chupa layna bhi asan nahin hota,
    Zarori nahin k puri ho her khawish laykin,
    Apni khawish ko Daba lena bi asan nahin hota,
    Mana k tooty howay pholoon say khushboo nahin ati,
    Mgr ketaboon main saja lena bi asan nahin hota.

  144. Pal hi aisa tha k hum inkar na kar paye,
    Zamane k dar sy izhar na kar paye,
    Na thi jinke bina zindagi munasib,
    Chor diya hamara sath or hum sawal b na kar paye.

  145. "LOUT ANA"
    Jab kabi tra dil ghbrae to lot ana.
    Agr tuje mri yad aye to lot ana.
    Kch wqt acha guzra hai sath tmhre.
    Wo wqt yad aye to lot ana.
    Ek wqt k lye dost bun jate hai subi log.
    Agr kbi wo wqt yad aye to lot ana.
    Tum se dur na hota agr ksmat sath deti to.
    Agr kbi dil ki dharkn tez ho jy to lot ana.
    Log to aksr sath nhi dte dil walo ka.Pas reh kr b agr koi sath na de to lot ana.
    Najane tri itni yad kyn ati hai.
    Agr ye paigam pohnch jaye to lot ana

  146. Us ko pa kar ab khona nahi chate itna khush ho ker ab rona nahe chahte 
    ye aalam hai hamara un ki judaye main
    Aankhon mai neend to hai par sona nahe chahte.

  147. Juhki nazro se ikrar mat kerna
    Nazrai utha k inkar mat kerna
    Raat bhar tarapty ho kisi ki yado mai
    Aur dosro se kehty ho pyer mat kerna.

  148. "Muhabat ki zanjeer se dar lagta hai,
    kuch apni taqder se dar lagta hai,
    jo mujhe tujh se juda kr dey,
    hath ki us laker se dar lgta hai.

  149. Hansi ne labon py
    Aana chor diya.
    Khabon ne palkon 
    py Aana chor diya.
    Ab to Aati nhn
    hichkiyan b 
    us na jb se
    muskarana chor
    dia 

  150. Pathar bana diya mjey ronay nai diya,
    Daman bi teray gham nay bighonay nai diya,
    Dil ko tere yad k aanso aziz thay,
    Koi bi aur dard samonay nai diya,


  151. Sar jukao ga tu 
    pather deuta ho
    jay ga
    etna mat chaho
    usa
    wo bewafa ho jay
    ga
    ruth jana tu
    muhabbat ki
    alamat ha
    maghar
    kia khabar thi
    mj ko
    wo itna khafa ho
    jay ga. . . . . . . .

  152. Tanha rehna seekh raha hon,
    mar k jena seekh raha hon,
    Mang k pana seekh liya hai,
    pa k khona seekh raha hon..

  153. Darte hein kahi sab tabha na hojae,
    Meri dosti sb ki nazer mai gunah na ho jae,
    mai sabr kr luga magar dar lagta hai,
    Jisko kehte hein dost wo bewafa na hojae..

  154. AANSOO *
    Har khushi or Gham mai insaan ka saath dete hai
    Behne se dil ka bojh halka hota hai
    Ansoo" se pyar karo
    kiyo k ye bin mange mil jate hai.....

  155. Najane kiyon hamin ansu bahana nahi ata.
    Na jane kiyon hale dil batana nahi ata.
    Kiyon sathi bichar jate hain hamesha hamse
    Shayad hamin hi sath nibana nahi ata

  156. Us ny kaha sun faqat Ehed nibanay kay liay lot kar mat ana...
    wadon par lotnay walay majburi ki thakan sy lota kartay hain...
    tum jao darya darya gumo, 
    jin ankhon main b dobo gy meri chahat awaz na dey gi...
    per jab thak jao ,meri chahat yaad aey our dil ro dy...to lot ana...tab lot ana

  157. Aj meri kismat pay mujy rona aya...
    Dosro ko kia mainy apno ko azmaya...
    Har dost ki tanhaye dur ki...
    Or khud ko har mor par akela paya...

  158. Deyar-e-noor ma tera shabon ka sathe ho,
    koi tu ho jo mery vehsato ka sathe ho,
    ma us sy jhot bolon vo muj sy sach boly,
    mery mezaj k sab mosamo ka sathe ho 

  159. Teri nazro sy ojhal ho jae gay hm,
    door fizaon mai kahi kho jae gay hm,
    mujh ko yad kr k rogay tm,
    jb zameen orr k so jae gay hm!!!!

  160. Na jane Q hame ansu bhana nahi ata,
    na jane kion haal-e-dil batana ni ata
    kion dost bichar jate hain hamesha hamse
    shayad hame hi dosti nibhana ni ata.

  161. Waday krtay hain,kasmy khate hain
    pir b jane q log sath chor jate hain
    Humay to taklef hoti hai phol tornay may b
    na jane log dil kasy tor jate hain?

  162. Teray faraq k
    lamhay shumar
    krtay kartay
    bikhar chalaen
    hain tera intazar
    krtay kartay
    tmhay khabar hi
    nhi
    toot gia ha koi
    DOSTI ko buhat
    piedaar kartay
    kartay.

  163. Zindagi k din kaise b hon guzar jaein ga,
    Ek din hum bhi chupke se mar jaein ga,
    Aaj rehte hain ap k dil mein yad ban k,
    Kal anso ban k ankhon se nikal jaein ge

  164. Kaheen mille to ose ye kehna
    K faseel-e-nafrat gira raha hoon
    Gaey dinon ko bhula raha hoon,
    Wo apne wade se phir gaya hai
    Mai apne wade nibha raha hoon
    Kahin mille to ose ye kehna
    Na dil mein koi malal rakhe
    Hamesha apna khyal rakhe woh
    Apne ghum sare mujh ko de de
    Aur tamam khushiyan sambhal rakhe
    Kahin mille to ose ye kehna
    Main tanha sawan bita chuka hon
    Main sare arman jla chuka hon
    Jo shole bharke the khwahishon k
    Wo anso,oon se bujha chuka hon.....

  165. Mohabbat mein main ne kya kuch nahi luta diya,
    Mohabbat mein main ne kya kuch nahi luta diya, 
    unko pasand thi roshni 
    Aur hum ne khud ko hi jala diya...!

  166. Mohabat ke phol kabhi mrjaya nahi krte
    Hanstay chehroon ko kabhi rolaya nahi karte 
    Jin ki sansay chalte hon sirf aap ke call se 
    Unhain itna tarpaya nahi karte

  167. Kahan se laon huner ab usay manane ka
    Koi jawaz na tha us k rooth jane ka
    Mohbtn mein saza b muje hi milni thi
    K meine jurm kiya rabtay barhane ka.

  168. Piyaar Ajata Hai Ankhon Main Rone Se Phele, 
    Her Khawab Toot Jata Hai Sone Se Phele,
    ISHQ Hai Gunnha ye Tu Samj Gaye, 
    Kaash Koi Rok Leta Ye Gunnha Hone Se Phele.

  169. E khuda aaj ye faisla ker de,use mera ya mujhe uska kar de,
    bohat dukh sahay hein meine koi khushi ab to muqadar mein ker day,
    bohat mushkil lagta hai us se door rehna,judai ke safar ko kam ker de
    ,jitna door chala gaya wo mujhse,use utna meray kareeb ker day,
    nahi likha agar naseeb mein uska naam,to khatm ker ye zindagi aur mujhe fanah kar day

  170. Mujhe se mukhles na wakif mere jazbaat se tha
    Us ka rishta to faqat apne mafadat se tha
    Ab jo bichra hai to kia royen judai pe teri
    Ye andesha to hame pehli mulaqat se tha

  171. Maine usko salaam likh bheja,
    Haal-e-dil-tamaam likh bheja...
    Maine poochha tere hont kaise hain,
    us ne sirf
    "jaam"
    likh bheja...
    Maine poochha tere baal kaise hain,
    usne
    "Qudrat ka inaam"
    likh bheja....
    Maine poochha kab hogi mulakat,
    Usne
    "Qayamat ki shaam"
    likh bheja...
    Maine puchha itna tadpaate kyon ho
    Usne
    "jawaani ka intqaam "
    likh bheja...
    Maine poochha kisi se nafrat bhi karte ho,
    us zaalim ne
    "mera hi naam"
    likh bheja



 

 

 

 

 




Today, there have been 60 visitors (67 hits) on this page!
New Page 1
Home Page||IP Tracker||Mini Google||Technology Reviews||Pakistan's ISP's||Mini YouTube||The Kissing School||Seo Adsense||Heart Touching||Loan Policies
||Face Book Mini||Orkut Mini||Music Downloads||Fm Radio||Age Calculator||Yahoo Booters||Phone Directory||Online Messenger||Sms n Poetry|
|Softwares||Game Section||Forum||E-Cards||Guest Book||Islamic Section||GSM Glossary||Contact||Counter||Adlante's Map||Site Map
This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free